Sunday, January 13, 2019

zakir khan Bohut hua Ruhaani Ishq ab ke to milna hai tumse


                                


                                Bohut hua Ruhaani Ishq ab ke to milna hai tumse,

Gazalein nahi likhni hai chhuna hai tumko…
           Wo hazar baar ke padhe hue Khat ek aur baar nahi padhne hai mujhe,
Mujhe apni Ungliya tumhari Hateli pe chahiye…
Chum lena hai Maatha tumhara, Seene se laga lena hai tumko, Baaho mein bhar lena hai..
Bohot hua Ruhaani Ishq ab ke to milna hai tumse…
Aur phone pe to bilkul baat nahi karni hai,
Par tumhare kaano par se baal hataana hai aur ek chhoti si baali pehna dena hai tumko…
Bicchiya, Payal, Bindi sab kuch apne haato se pehnana hai,
Ab Khushbu Mehsoos nahi karni hai tumhari…
Bass palko ko band hote hue aur khulte hue dekhna hai,
Kuch kaam batana hai tumko,
Fir tumhare utthkar jaane par kalaai se pakadkar baitha dena hai tumko,
Bohot hua Ruhaani Ishq ab ke to milna hai tumse…


-Zakir Khan

2 comments:

Best poetry

teri shartoh pe hi karna hai agar tujh ko qubul ye suhulat to mujhe saara jahan deta hai