Monday, January 14, 2019

Zakir khan usse acha nahi lagta






Jis guldaan ko tum ajj apna kehte ho, uska phool kabhi hamara tha,


Who jo ab tum uske mukthaar ho toh sun lo,
usse acha nahi lagta,
meri jaan ke haqdaar ho to sun lo,
usse acha nahi lagta!



Who jo ab tum uske mukthaar ho toh sun lo,
usse acha nahi lagta,
meri jaan ke haqdaar ho to sun lo,
usse acha nahi lagta,
Ki who jo zulf bikhere toh bikhiri na samjhna,
agar mathe pe aa jaaye toh befikri na samjhna,
darasal usee aise he pasand hai,
Uski Azaadi, Uski Khuli Zulfon meh band hai!



Jante Ho,
Jante Ho who agar hazar baar julfein na sware toh uska guzara nahi hota,
Waise dil bohot saaf hai uska inn harkaton mein koi ishara nahi hota.
Khuda Ke waste, Khuda ke waste use kabhi rok na dena,
Uski azaadi se usee kabhi tok na dena,
ab meh nahi tum uske dildaar ho toh sun lo,
Usse acha nahi lagta!!

-Zakir khan

4 comments:

  1. Tooo touching 🥺🥺
    Bow down to zakir sir

    ReplyDelete
  2. this is not of zakir, he recited it in rekhta'17.

    ReplyDelete

Best poetry

teri shartoh pe hi karna hai agar tujh ko qubul ye suhulat to mujhe saara jahan deta hai