Mere kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchhunga tumse,
Kyuki uske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…
Main janana chahta hu kya raqib ke saath bhi chalte hue,
Shaam ko yunhi bekhayali main uske saath bhi kya haat takkra jaat hai kya tumhara?
Kya apni chhoti ungli se uska bhi haat thaam liya karti ho tum,
Kya waise hai jaise mera thhama karti thi…?
Kya bataadi saari bhachpan ki kahaniya tumne usko jaise mujhko raat raat bhar baith kar sunaai thi tumne…?
Kya tumne bataya usko ke 30 ke aage ki hindi ki ginti aati nahi tumko…?
Wo jo saari tasverein tumhare papa ke saath , tumhari behen ke saath tumhari thi, jinme tum mujhe badi pyaari lagg rahi ho,
Kya use bhi dikhaadi tumne…?
Ke kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchunga tumse,
Kyuki usske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…
Ke main puchhna chahta hu kya jab wo bhi ghar chhodne aata hai tumko,
To kya seedhiyo pe aankhein neech kar meri hi tarah uske saamne bhi maatha aage kar deti ho tum,
Waise hi jaisa mere saamne kiya karti thi…?
Kya sard raaton mein band kamro mein wo bhi meri hi tarah,
Tumhari nangi peeth par apni ungliyo se harf dar harf khudka ka naam gondta hai,
Aur tum bhi Akshar-be-akshar pehchaanane ki koshish karti ho kya jaise mere saath kiya karti thi…?
Ke kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchunga tumse,
Kyuki usske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…
-Zakir khan